Ludo Khelne ke rules - Ludo Sikandar Best Ludo App

Dice mein 6 lana hai - Kisi token ko starting area se bahar nikalne ke liye aapko 6 roll karni hogi. Ek baar token bahar aa jaye, to aap ise board par   move kar sakte hain. Par yahan online game mein sab open rehty hai to 6 laane ki jarurat nahi padhti.

Dice  Roll Karna:  Har player apni turn mein ek baar dice roll karta hai aur dice  par aaye number ke according apne token ko move karta hai. Agar aap 6 roll karte hain, to aapko phir se roll karne ka mauka milta hai. Lekin   agar aap teen baar lagatar chhah roll karte hain, to aapki turn chali      jayegi.

Movement:      Tokens dice ke number ke according board par clock wise move karte hain. Aap board par jo bhi apne tokens hain, unhe move kar sakte hain.

Opponent’s      Token ko Cut Karna:  Agar aapka token kisi aise square par land karta hai jahan opponent ka token hai, to opponent ka token uske starting area mein  wapas bhej diya jata hai.

Safe  Zones:  Safe zones wo colored squares hote hain board par jahan tokens ko      cut nahi kiya ja sakta.

Home Column Mein Enter Karna:  Jab ek token board ka poora circuit complete kar leta hai, to wo home column mein enter karta hai. Token ko home space mein      le jane ke liye aapko dice par exact number chahiye hota hai.

Game  Jeetna: Pehla player jo apne chaaron tokens ko home space mein le aata hai, wo game jeet jata hai.